ab saba koocha-e-jaanaan mein guzre hai ki nahin
tujh ko is fitna-e-aalam ki khabar hai ki nahin
bujh gaya mehr ka faanoos ki raushan hai abhi
ab un aankhon mein lagaavat ka asar hai ki nahin
ab mere naam ka padhta hai wazifa koi
ab mera zikr-e-wafa dard-e-sehr hai ki nahin
ab bhi takti hain meri raah vo kaafir aankhen
ab bhi duzdeeda nazar jaanib-e-dar hai ki nahin
chhup ke raaton ko meri yaad mein rota hai koi
maujzan aankh mein ab khoon-e-jigar hai ki nahin
husn ko pursish-e-beemaar ka hai ab bhi khayal
mehr ki zarra khaaki pe nazar hai ki nahin
be-khabar mujh ko zamaane se kiya hai jis ne
kuchh use meri tabaahi ki khabar hai ki nahin
khaaye jaata hai mujhe dard-e-ghareeb-ul-watani
dil par is jaan-e-watan ke bhi asar hai ki nahin
josh khaamosh bhi ho pooch raha hai kya kya
kuchh tujhe tadne waalon ki khabar hai ki nahin
अब सबा कूचा-ए-जानाँ में गुज़रे है कि नहीं
तुझ को इस फ़ित्ना-ए-आलम की ख़बर है कि नहीं
बुझ गया मेहर का फ़ानूस कि रौशन है अभी
अब उन आँखों में लगावट का असर है कि नहीं
अब मेरे नाम का पढ़ता है वज़ीफ़ा कोई
अब मिरा ज़िक्र-ए-वफ़ा दर्द-ए-सहर है कि नहीं
अब भी तकती हैं मिरी राह वो काफ़िर आँखें
अब भी दुज़्दीदा नज़र जानिब-ए-दर है कि नहीं
छुप के रातों को मिरी याद में रोता है कोई
मौजज़न आँख में अब ख़ून-ए-जिगर है कि नहीं
हुस्न को पुर्सिश-ए-बीमार का है अब भी ख़याल
मेहर की ज़र्रा ख़ाकी पे नज़र है कि नहीं
बे-ख़बर मुझ को ज़माने से किया है जिस ने
कुछ उसे मेरी तबाही की ख़बर है कि नहीं
खाए जाता है मुझे दर्द-ए-ग़रीब-उल-वतनी
दिल पर इस जान-ए-वतन के भी असर है कि नहीं
'जोश' ख़ामोश भी हो पूछ रहा है क्या क्या
कुछ तुझे ताड़ने वालों की ख़बर है कि नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Josh Malihabadi
our suggestion based on Josh Malihabadi
As you were reading Raasta Shayari Shayari