bimaar-e-mohabbat ki dava hai ki nahin hai
mere kisi pahluu mein qaza hai ki nahin hai
sunta hoon ik aahat si barabar shab-e-wada
jaane tire qadmon ki sada hai ki nahin hai
sach hai ki mohabbat mein hamein maut ne maara
kuchh is mein tumhaari bhi khata hai ki nahin hai
mat dekh ki firta hoon tire hijr mein zinda
ye pooch ki jeene mein maza hai ki nahin hai
yun dhoondte firte hain mere baad mujhe vo
vo kaif kahi tera pata hai ki nahin hai
बीमार-ए-मोहब्बत की दवा है कि नहीं है
मेरे किसी पहलू में क़ज़ा है कि नहीं है
सुनता हूँ इक आहट सी बराबर शब-ए-वादा
जाने तिरे क़दमों की सदा है कि नहीं है
सच है कि मोहब्बत में हमें मौत ने मारा
कुछ इस में तुम्हारी भी ख़ता है कि नहीं है
मत देख कि फिरता हूँ तिरे हिज्र में ज़िंदा
ये पूछ कि जीने में मज़ा है कि नहीं है
यूँ ढूँडते फिरते हैं मिरे बाद मुझे वो
वो 'कैफ़' कहीं तेरा पता है कि नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Masti Shayari Shayari