jism par baaki ye sar hai kya karoon | जिस्म पर बाक़ी ये सर है क्या करूँ - Kaif Bhopali

jism par baaki ye sar hai kya karoon
dasht-e-qaatil be-hunar hai kya karoon

chahta hoon phoonk doon is shehar ko
shehar mein in ka bhi ghar hai kya karoon

vo to sau sau martaba chahein mujhe
meri chaahat mein kasar hai kya karoon

paanv mein zanjeer kaante aable
aur phir hukm-e-safar hai kya karoon

kaif ka dil kaif ka dil hai magar
vo nazar phir vo nazar hai kya karoon

kaif mein hoon ek nooraani kitaab
padhne waala kam-nazar hai kya karoon

जिस्म पर बाक़ी ये सर है क्या करूँ
दस्त-ए-क़ातिल बे-हुनर है क्या करूँ

चाहता हूँ फूँक दूँ इस शहर को
शहर में इन का भी घर है क्या करूँ

वो तो सौ सौ मर्तबा चाहें मुझे
मेरी चाहत में कसर है क्या करूँ

पाँव में ज़ंजीर काँटे आबले
और फिर हुक्म-ए-सफ़र है क्या करूँ

'कैफ़' का दिल 'कैफ़' का दिल है मगर
वो नज़र फिर वो नज़र है क्या करूँ

'कैफ़' में हूँ एक नूरानी किताब
पढ़ने वाला कम-नज़र है क्या करूँ

- Kaif Bhopali
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari