khaanqaah mein sufi munh chhupaaye baitha hai
ghaliban zamaane se maat khaaye baitha hai
qatl to nahin badla qatl ki ada badli
teer ki jagah qaateel saaz uthaaye baitha hai
un ke chaahne waale dhoop dhoop firte hain
gair un ke kooche mein saaye saaye baitha hai
waaye aashiq-e-naadaan kaayenaat ye teri
ik shikasta sheeshe ko dil banaaye baitha hai
door baarish ai gulchein vaa hai deeda-e-nargis
aaj har gul-e-nargis khaar khaaye baitha hai
ख़ानक़ाह में सूफ़ी मुँह छुपाए बैठा है
ग़ालिबन ज़माने से मात खाए बैठा है
क़त्ल तो नहीं बदला क़त्ल की अदा बदली
तीर की जगह क़ातिल साज़ उठाए बैठा है
उन के चाहने वाले धूप धूप फिरते हैं
ग़ैर उन के कूचे में साए साए बैठा है
वाए आशिक़-ए-नादाँ काएनात ये तेरी
इक शिकस्ता शीशे को दिल बनाए बैठा है
दूर बारिश ऐ गुलचीं वा है दीदा-ए-नर्गिस
आज हर गुल-ए-नर्गिस ख़ार खाए बैठा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Nazakat Shayari Shayari