hum un ko cheen kar laaye hain kitne daavedaaron se | हम उन को छीन कर लाए हैं कितने दावेदारों से - Kaif Bhopali

hum un ko cheen kar laaye hain kitne daavedaaron se
shafaq se chaandni-raaton se phoolon se sitaaron se

hamaare zakhm-e-dil daag-e-jigar kuch milte-julte hain
gulon se gul-rukho'n se mahwashon se maah-paaron se

zamaane mein kabhi bhi qismaten badla nahin karti
umeedon se bharoson se dilaason se sahaaron se

sune koi to ab bhi raushni awaaz deti hai
gufaaon se pahaadon se biyaabaanon se ghaaron se

barabar ek pyaasi rooh ki awaaz aati hai
kuon se pan-ghaton se naddiyon se aabshaaron se

kabhi patthar ke dil ai kaif pighle hain na pighlenge
munaajaaton se fariyadon se cheekh'on se pukaaron se

हम उन को छीन कर लाए हैं कितने दावेदारों से
शफ़क़ से चाँदनी-रातों से फूलों से सितारों से

हमारे ज़ख़्म-ए-दिल दाग़-ए-जिगर कुछ मिलते-जुलते हैं
गुलों से गुल-रुख़ों से महवशों से माह-पारों से

ज़माने में कभी भी क़िस्मतें बदला नहीं करतीं
उमीदों से भरोसों से दिलासों से सहारों से

सुने कोई तो अब भी रौशनी आवाज़ देती है
गुफाओं से पहाड़ों से बयाबानों से ग़ारों से

बराबर एक प्यासी रूह की आवाज़ आती है
कुओं से पन-घटों से नद्दियों से आबशारों से

कभी पत्थर के दिल ऐ 'कैफ़' पिघले हैं न पिघलेंगे
मुनाजातों से फ़रियादों से चीख़ों से पुकारों से

- Kaif Bhopali
1 Like

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari