jis pe tiri shamsheer nahin hai
us ki koi tauqeer nahin hai
us ne ye kah kar fer diya khat
khoon se kyun tahreer nahin hai
zakham-e-jigar mein jhaank ke dekho
kya ye tumhaara teer nahin hai
zakham lage hain khulne gulchein
ye to tiri jaageer nahin hai
shehar mein yaum-e-aman hai waiz
aaj tiri taqreer nahin hai
udi ghatta to waapas ho ja
aaj koi tadbeer nahin hai
shehar mohabbat ka yun ujda
door talak taameer nahin hai
itni haya kyun aaine se
ye to meri tasveer nahin hai
जिस पे तिरी शमशीर नहीं है
उस की कोई तौक़ीर नहीं है
उस ने ये कह कर फेर दिया ख़त
ख़ून से क्यूँ तहरीर नहीं है
ज़ख़्म-ए-जिगर में झाँक के देखो
क्या ये तुम्हारा तीर नहीं है
ज़ख़्म लगे हैं खुलने गुलचीं
ये तो तिरी जागीर नहीं है
शहर में यौम-ए-अमन है वाइज़
आज तिरी तक़रीर नहीं है
ऊदी घटा तो वापस हो जा
आज कोई तदबीर नहीं है
शहर मोहब्बत का यूँ उजड़ा
दूर तलक तामीर नहीं है
इतनी हया क्यूँ आईने से
ये तो मिरी तस्वीर नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Gaon Shayari Shayari