gardish-e-arz-o-samaavaat ne jeene na diya
kat gaya din to hamein raat ne jeene na diya
kuchh mohabbat ko na tha chain se rakhna manzoor
aur kuchh un ki inaayat ne jeene na diya
haadsa hai ki tire sar pe na ilzaam aaya
waqia hai ki tiri zaat ne jeene na diya
kaif ke bhoolne waale ko khabar ho ki use
sadma-e-tark-e-mulaqaat ne jeene na diya
गर्दिश-ए-अर्ज़-ओ-समावात ने जीने न दिया
कट गया दिन तो हमें रात ने जीने न दिया
कुछ मोहब्बत को न था चैन से रखना मंज़ूर
और कुछ उन की इनायात ने जीने न दिया
हादसा है कि तिरे सर पे न इल्ज़ाम आया
वाक़िआ है कि तिरी ज़ात ने जीने न दिया
'कैफ़' के भूलने वाले को ख़बर हो कि उसे
सदमा-ए-तर्क-ए-मुलाक़ात ने जीने न दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Raat Shayari Shayari