haaye logon ki karam-farmaiyaan | हाए लोगों की करम-फ़रमाइयाँ

  - Kaif Bhopali

haaye logon ki karam-farmaiyaan
tohmaten badnaamiyaan ruswaaiyaan

zindagi shaayad isee ka naam hai
dooriyaan majbooriyaan tanhaaiyaan

kya zamaane mein yun hi kattee hai raat
karvatein betaabiyaan angadaaiyaan

kya yahi hoti hai shaam-e-intizaar
aahaten ghabrahaten parchaaiyaan

ek rind-e-mast ki thokar mein hain
shaahiyaan sultaaniyaan daraaiyaan

ek paikar mein simat kar rah gaeein
khoobiyaan zebaaiyaan raanaaiyaan

rah gaeein ik tifl-e-maktab ke huzoor
hikmaten aagaahiyaan danaaiyan

zakham dil ke phir hare karne lagin
badliyaan barkha rutein purvaaiyaan

deeda-o-daanista un ke saamne
laghzishein naakaamiyaan paspaa-iyaan

mere dil ki dhadkano mein dhal gaeein
choodiyaan mausiqiyaan shehnaaiyaan

un se mil kar aur bhi kuchh badh gaeein
uljhane fikren qayaas-aaraaiyaan

kaif paida kar samundar ki tarah
wusaaten khaamoshiyaan gehraaiyaan

हाए लोगों की करम-फ़रमाइयाँ
तोहमतें बदनामियाँ रुस्वाइयाँ

ज़िंदगी शायद इसी का नाम है
दूरियाँ मजबूरियाँ तन्हाइयाँ

क्या ज़माने में यूँ ही कटती है रात
करवटें बेताबियाँ अंगड़ाइयाँ

क्या यही होती है शाम-ए-इंतिज़ार
आहटें घबराहटें परछाइयाँ

एक रिंद-ए-मस्त की ठोकर में हैं
शाहियाँ सुल्तानियाँ दाराइयाँ

एक पैकर में सिमट कर रह गईं
ख़ूबियाँ ज़ेबाइयाँ रानाइयाँ

रह गईं इक तिफ़्ल-ए-मकतब के हुज़ूर
हिकमतें आगाहियाँ दानाइयाँ

ज़ख़्म दिल के फिर हरे करने लगीं
बदलियाँ बरखा रुतें पुरवाइयाँ

दीदा-ओ-दानिस्ता उन के सामने
लग़्ज़िशें नाकामियाँ पसपाइयाँ

मेरे दिल की धड़कनों में ढल गईं
चूड़ियाँ मौसीक़ियाँ शहनाइयाँ

उन से मिल कर और भी कुछ बढ़ गईं
उलझनें फ़िक्रें क़यास-आराइयाँ

'कैफ़' पैदा कर समुंदर की तरह
वुसअतें ख़ामोशियाँ गहराइयाँ

  - Kaif Bhopali

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari