allah ye kis ka maatam hai vo zulf jo bikhri jaati hai
aankhen hai ki bheegi jaati hain duniya hai ki doobi jaati hai
kuchh beete dinon ki yaadein hain aur chaaron taraf tanhaai si
mehmaan hain ki aaye jaate hain mehfil hai ki ujadi jaati hai
tadbeer ke haathon kuchh na hua taqdeer ki mushkil hal na hui
nakhun hain ki toote jaate hain gutthi hai ki uljhi jaati hai
kya koi mohabbat mein yun bhi benaam-o-nishaan ho jaata hai
main hoon ki abhi tak zinda hoon duniya hai ki bhooli jaati hai
अल्लाह ये किस का मातम है वो ज़ुल्फ़ जो बिखरी जाती है
आँखें है कि भीगी जाती हैं दुनिया है कि डूबी जाती है
कुछ बीते दिनों की यादें हैं और चारों तरफ़ तन्हाई सी
मेहमाँ हैं कि आए जाते हैं महफ़िल है कि उजड़ी जाती है
तदबीर के हाथों कुछ न हुआ तक़दीर की मुश्किल हल न हुई
नाख़ुन हैं कि टूटे जाते हैं गुत्थी है कि उलझी जाती है
क्या कोई मोहब्बत में यूँ भी बेनाम-ओ-निशाँ हो जाता है
मैं हूँ कि अभी तक ज़िंदा हूँ दुनिया है कि भूली जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Zulf Shayari Shayari