kutiya mein kaun aayega is teergi ke saath
ab ye kiwaad band karo khaamoshi ke saath
saaya hai kam khajoor ke unche darakht ka
ummeed baandhie na bade aadmi ke saath
chalte hain bach ke shaikh o brahman ke saaye se
apna yahi amal hai bure aadmi ke saath
shaistagaan-e-shehr mujhe khwaah kuchh kahein
sadkon ka husn hai meri aawaargi ke saath
shaair hikaayaten na suna vasl o ishq ki
itna bada mazaak na kar shaayri ke saath
likhta hai gham ki baat masarrat ke mood mein
makhsoos hai ye tarz faqat kaif hi ke saath
कुटिया में कौन आएगा इस तीरगी के साथ
अब ये किवाड़ बंद करो ख़ामुशी के साथ
साया है कम खजूर के ऊँचे दरख़्त का
उम्मीद बाँधिए न बड़े आदमी के साथ
चलते हैं बच के शैख़ ओ बरहमन के साए से
अपना यही अमल है बुरे आदमी के साथ
शाइस्तगान-ए-शहर मुझे ख़्वाह कुछ कहें
सड़कों का हुस्न है मिरी आवारगी के साथ
शाइर हिकायतें न सुना वस्ल ओ इश्क़ की
इतना बड़ा मज़ाक़ न कर शाइरी के साथ
लिखता है ग़म की बात मसर्रत के मूड में
मख़्सूस है ये तर्ज़ फ़क़त 'कैफ़' ही के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Bhopali
our suggestion based on Kaif Bhopali
As you were reading Shajar Shayari Shayari