tabeeyat jabriya taskin se ghabraai jaati hai | तबीअत जब्रिया तस्कीन से घबराई जाती है

  - Kaifi Azmi

tabeeyat jabriya taskin se ghabraai jaati hai
hansoon kaise hasi kam-bakht tu murjhaai jaati hai
bahut chamka raha hoon khaal-o-khat ko saee-e-rangeen se
magar pazmurdagi si khaal-o-khat par chhaai jaati hai
umeedon ki tajalli khoob barsi sheesha-e-dil par
magar jo gard thi tah mein vo ab tak paai jaati hai
jawaani chhedti hai laakh khwaabida tamannaa ko
tamannaa hai ki us ko neend hi si aayi jaati hai
mohabbat ki nigoon-saari se dil dooba sa rehta hai
mohabbat dil ki izmehlaal se sharmaai jaati hai
fazaa ka sog utara aa raha hai zarf-e-hasti mein
nigaah-e-shauq rooh-e-arzoo kajlaai jaati hai
ye rang-e-may nahin saaqi jhalak hai khoon-shooda dil ki
jo ik dhundli si surkhi ankhadiyon mein paai jaati hai
mere mutarib na de lillaah mujh ko daawat-e-naghma
kahi saaz-e-ghulaami par ghazal bhi gaai jaati hai

तबीअत जब्रिया तस्कीन से घबराई जाती है
हँसूँ कैसे हँसी कम-बख़्त तू मुरझाई जाती है
बहुत चमका रहा हूँ ख़ाल-ओ-ख़त को सई-ए-रंगीं से
मगर पज़मुर्दगी सी ख़ाल-ओ-ख़त पर छाई जाती है
उमीदों की तजल्ली ख़ूब बरसी शीशा-ए-दिल पर
मगर जो गर्द थी तह में वो अब तक पाई जाती है
जवानी छेड़ती है लाख ख़्वाबीदा तमन्ना को
तमन्ना है कि उस को नींद ही सी आई जाती है
मोहब्बत की निगूँ-सारी से दिल डूबा सा रहता है
मोहब्बत दिल की इज़्मेहलाल से शर्माई जाती है
फ़ज़ा का सोग उतरा आ रहा है ज़र्फ़-ए-हस्ती में
निगाह-ए-शौक़ रूह-ए-आरज़ू कजलाई जाती है
ये रंग-ए-मय नहीं साक़ी झलक है ख़ूँ-शूदा दिल की
जो इक धुँदली सी सुर्ख़ी अँखड़ियों में पाई जाती है
मिरे मुतरिब न दे लिल्लाह मुझ को दावत-ए-नग़्मा
कहीं साज़-ए-ग़ुलामी पर ग़ज़ल भी गाई जाती है

  - Kaifi Azmi

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari