main dhundhta hoon jise vo jahaan nahin milta
nayi zameen naya aasmaan nahin milta
nayi zameen naya aasmaan bhi mil jaaye
naye bashar ka kahi kuchh nishaan nahin milta
vo teg mil gai jis se hua hai qatl mera
kisi ke haath ka us par nishaan nahin milta
vo mera gaav hai vo mere gaav ke choolhe
ki jin mein shole to shole dhuaan nahin milta
jo ik khuda nahin milta to itna maatam kyun
yahan to koi mera ham-zabaan nahin milta
khada hoon kab se main chehron ke ek jungle mein
tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta
मैं ढूँडता हूँ जिसे वो जहाँ नहीं मिलता
नई ज़मीन नया आसमाँ नहीं मिलता
नई ज़मीन नया आसमाँ भी मिल जाए
नए बशर का कहीं कुछ निशाँ नहीं मिलता
वो तेग़ मिल गई जिस से हुआ है क़त्ल मिरा
किसी के हाथ का उस पर निशाँ नहीं मिलता
वो मेरा गाँव है वो मेरे गाँव के चूल्हे
कि जिन में शोले तो शोले धुआँ नहीं मिलता
जो इक ख़ुदा नहीं मिलता तो इतना मातम क्यूँ
यहाँ तो कोई मिरा हम-ज़बाँ नहीं मिलता
खड़ा हूँ कब से मैं चेहरों के एक जंगल में
तुम्हारे चेहरे का कुछ भी यहाँ नहीं मिलता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Aasman Shayari Shayari