aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
aaj ki raat na fut-paath pe neend aayegi
sab utho main bhi uthoon tum bhi utho tum bhi utho
koi khidki isee deewaar mein khul jaayegi
ye zameen tab bhi nigal lene pe aamada thi
paanv jab tootti shaakhon se utaare ham ne
un makaanon ko khabar hai na makeenon ko khabar
un dinon ki jo gufaaon mein guzaare ham ne
haath dhalti gaye saanche mein to thakte kaise
naqsh ke baad naye naqsh nikhaare ham ne
ki ye deewaar buland aur buland aur buland
baam o dar aur zara aur sanwaare ham ne
aandhiyaan tod liya karti theen shamon ki love
jad diye is liye bijli ke sitaare ham ne
ban gaya qasr to pahre pe koi baith gaya
so rahe khaak pe ham shorish-e-taameer liye
apni nas nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan
band aankhon mein usi qasr ki tasveer liye
din pighlata hai usi tarah saroon par ab tak
raat aankhon mein khatkati hai siyah teer liye
aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
aaj ki raat na fut-paath pe neend aayegi
sab utho main bhi uthoon tum bhi utho tum bhi utho
koi khidki isee deewaar mein khul jaayegi
आज की रात बहुत गर्म हवा चलती है
आज की रात न फ़ुट-पाथ पे नींद आएगी
सब उठो, मैं भी उठूँ तुम भी उठो, तुम भी उठो
कोई खिड़की इसी दीवार में खुल जाएगी
ये ज़मीं तब भी निगल लेने पे आमादा थी
पाँव जब टूटती शाख़ों से उतारे हम ने
उन मकानों को ख़बर है न मकीनों को ख़बर
उन दिनों की जो गुफाओं में गुज़ारे हम ने
हाथ ढलते गए साँचे में तो थकते कैसे
नक़्श के बाद नए नक़्श निखारे हम ने
की ये दीवार बुलंद, और बुलंद, और बुलंद
बाम ओ दर और, ज़रा और सँवारे हम ने
आँधियाँ तोड़ लिया करती थीं शम्ओं की लवें
जड़ दिए इस लिए बिजली के सितारे हम ने
बन गया क़स्र तो पहरे पे कोई बैठ गया
सो रहे ख़ाक पे हम शोरिश-ए-तामीर लिए
अपनी नस नस में लिए मेहनत-ए-पैहम की थकन
बंद आँखों में उसी क़स्र की तस्वीर लिए
दिन पिघलता है उसी तरह सरों पर अब तक
रात आँखों में खटकती है सियह तीर लिए
आज की रात बहुत गर्म हवा चलती है
आज की रात न फ़ुट-पाथ पे नींद आएगी
सब उठो, मैं भी उठूँ तुम भी उठो, तुम भी उठो
कोई खिड़की इसी दीवार में खुल जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Environment Shayari Shayari