kitni rangeen hai fazaa kitni haseen hai duniya | कितनी रंगीं है फ़ज़ा कितनी हसीं है दुनिया

  - Kaifi Azmi

kitni rangeen hai fazaa kitni haseen hai duniya
kitna sarshaar hai zauq-e-chaman-aaraai aaj
is saleeqe se sajaai gai bazm-e-geeti
tu bhi deewar-e-ajanta se utar aayi aaj

roo-numaai ki ye saaat ye tahee-dasti-e-shauq
na chura saka hoon aankhen na mila saka hoon
pyaar sougaat wafa nazr mohabbat tohfa
yahi daulat tire qadmon pe luta saka hoon

kab se takh'eel mein larzaan tha ye naazuk paikar
kab se khwaabon mein machalti thi jawaani teri
mere afsaane ka unwaan bani jaati hai
dhal ke saanche mein haqeeqat ke kahaani teri

marhale jhel ke nikhra hai mazaq-e-takhleeq
saii-e-paiham ne diye hain ye khud-o-khaal tujhe
zindagi chalti rahi kaanton pe angaaron par
jab mili itni haseen itni subuk chaal tujhe

tere qamat mein hai insaan ki bulandi ka vaqaar
dukhtar-e-shehr hai tahzeeb ka shehkaar hai tu
ab na jhapkegi palak ab na hatengi nazrein
husn ka mere liye aakhiri meaar hai tu

ye tira paikar-e-seemin ye gulaabi saari
dast-e-mehnat ne shafaq ban ke udhaa di tujh ko
jis se mahroom hai fitrat ka jamaal-e-rangeen
tarbiyat ne vo lataafat bhi sikha di tujh ko

aagahi ne tiri baaton mein khilaaiin kaliyaan
ilm ne shakkariin lehje mein nichod'e angoor
dilrubaaai ka ye andaaz kise aata tha
tu hai jis saans mein nazdeek usi saans mein door

ye lataafat ye nazaakat ye haya ye shokhi
sau diye julte hain umdi hui zulmat ke khilaaf
lab-e-shaadab pe chhalki hui gulnaar hasi
ik bagaavat hai ye aaiina-e-jaraahat ke khilaaf

hausale jaag uthe soz-e-yaqeen jaag utha
nigah-e-naaz ke be-naam ishaaron ko salaam
tu jahaan rahti hai us arz-e-haseen par sajda
jin mein tu milti hai un raah-guzaaron ko salaam

aa qareeb aa ki ye judaa main pareshaan kar doon
tishna-kaami ko ghataon ka payaam aa jaaye
jis ke maathe se ubharti hain hazaaron subhen
meri duniya mein bhi aisi koi shaam aa jaaye

कितनी रंगीं है फ़ज़ा कितनी हसीं है दुनिया
कितना सरशार है ज़ौक़-ए-चमन-आराई आज
इस सलीक़े से सजाई गई बज़्म-ए-गीती
तू भी दीवार-ए-अजंता से उतर आई आज

रू-नुमाई की ये साअत ये तही-दस्ती-ए-शौक़
न चुरा सकता हूँ आँखें न मिला सकता हूँ
प्यार सौग़ात, वफ़ा नज़्र, मोहब्बत तोहफ़ा
यही दौलत तिरे क़दमों पे लुटा सकता हूँ

कब से तख़्ईल में लर्ज़ां था ये नाज़ुक पैकर
कब से ख़्वाबों में मचलती थी जवानी तेरी
मेरे अफ़्साने का उनवान बनी जाती है
ढल के साँचे में हक़ीक़त के कहानी तेरी

मरहले झेल के निखरा है मज़ाक़-ए-तख़्लीक़
सई-ए-पैहम ने दिए हैं ये ख़द-ओ-ख़ाल तुझे
ज़िंदगी चलती रही काँटों पे, अँगारों पर
जब मिली इतनी हसीं, इतनी सुबुक चाल तुझे

तेरे क़ामत में है इंसाँ की बुलंदी का वक़ार
दुख़्तर-ए-शहर है, तहज़ीब का शहकार है तू
अब न झपकेगी पलक, अब न हटेंगी नज़रें
हुस्न का मेरे लिए आख़िरी मेआर है तू

ये तिरा पैकर-ए-सीमीं, ये गुलाबी सारी
दस्त-ए-मेहनत ने शफ़क़ बन के उढ़ा दी तुझ को
जिस से महरूम है फ़ितरत का जमाल-ए-रंगीं
तर्बियत ने वो लताफ़त भी सिखा दी तुझ को

आगही ने तिरी बातों में खिलाईं कलियाँ
इल्म ने शक्करीं लहजे में निचोड़े अंगूर
दिलरुबाई का ये अंदाज़ किसे आता था
तू है जिस साँस में नज़दीक उसी साँस में दूर

ये लताफ़त, ये नज़ाकत, ये हया, ये शोख़ी
सौ दिए जुलते हैं उमडी हुई ज़ुल्मत के ख़िलाफ़
लब-ए-शादाब पे छलकी हुई गुलनार हँसी
इक बग़ावत है ये आईन-ए-जराहत के ख़िलाफ़

हौसले जाग उठे सोज़-ए-यक़ीं जाग उठा
निगह-ए-नाज़ के बे-नाम इशारों को सलाम
तू जहाँ रहती है उस अर्ज़-ए-हसीं पर सज्दा
जिन में तू मिलती है उन राह-गुज़ारों को सलाम

आ क़रीब आ कि ये जूड़ा मैं परेशाँ कर दूँ
तिश्ना-कामी को घटाओं का पयाम आ जाए
जिस के माथे से उभरती हैं हज़ारों सुब्हें
मिरी दुनिया में भी ऐसी कोई शाम आ जाए

  - Kaifi Azmi

Jawani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Jawani Shayari Shayari