vo bhi saraahne lage arbaab-e-fan ke ba'ad | वो भी सराहने लगे अर्बाब-ए-फ़न के बा'द - Kaifi Azmi

vo bhi saraahne lage arbaab-e-fan ke ba'ad
daad-e-sukhan mili mujhe tark-e-sukhan ke ba'ad

deewana-waar chaand se aage nikal gaye
thehra na dil kahi bhi tiri anjuman ke ba'ad

honton ko si ke dekhiye pachhtaaiyega aap
hangaame jaag uthte hain akshar ghutan ke ba'ad

gurbat ki thandi chaanv mein yaad aayi us ki dhoop
qadr-e-watan hui humein tark-e-watan ke ba'ad

ilaan-e-haq mein khatra-e-daar-o-rasan to hai
lekin sawaal ye hai ki daar-o-rasan ke ba'ad

insaan ki khwahishon ki koi intiha nahin
do gaz zameen bhi chahiye do gaz kafan ke ba'ad

वो भी सराहने लगे अर्बाब-ए-फ़न के बा'द
दाद-ए-सुख़न मिली मुझे तर्क-ए-सुख़न के बा'द

दीवाना-वार चाँद से आगे निकल गए
ठहरा न दिल कहीं भी तिरी अंजुमन के बा'द

होंटों को सी के देखिए पछ्ताइएगा आप
हंगामे जाग उठते हैं अक्सर घुटन के बा'द

ग़ुर्बत की ठंडी छाँव में याद आई उस की धूप
क़द्र-ए-वतन हुई हमें तर्क-ए-वतन के बा'द

एलान-ए-हक़ में ख़तरा-ए-दार-ओ-रसन तो है
लेकिन सवाल ये है कि दार-ओ-रसन के बा'द

इंसाँ की ख़्वाहिशों की कोई इंतिहा नहीं
दो गज़ ज़मीं भी चाहिए दो गज़ कफ़न के बा'द

- Kaifi Azmi
1 Like

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari