jo vo mere na rahe main bhi kab kisi ka raha | जो वो मिरे न रहे मैं भी कब किसी का रहा

  - Kaifi Azmi

jo vo mere na rahe main bhi kab kisi ka raha
bichhad ke un se saleeqa na zindagi ka raha

labon se ud gaya jugnoo ki tarah naam us ka
sahaara ab mere ghar mein na raushni ka raha

guzarne ko to hazaaron hi qafile guzre
zameen pe naqsh-e-qadam bas kisi kisi ka raha

जो वो मिरे न रहे मैं भी कब किसी का रहा
बिछड़ के उन से सलीक़ा न ज़िंदगी का रहा

लबों से उड़ गया जुगनू की तरह नाम उस का
सहारा अब मिरे घर में न रौशनी का रहा

गुज़रने को तो हज़ारों ही क़ाफ़िले गुज़रे
ज़मीं पे नक़्श-ए-क़दम बस किसी किसी का रहा

  - Kaifi Azmi

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari