hisse mein ishq mere qabze mein ishq hai ab | हिस्से में इश्क़ मेरे क़ब्ज़े में इश्क़ है अब

  - Kamlesh Goyal

hisse mein ishq mere qabze mein ishq hai ab
har cheez bhaav mein bas saste mein ishq hai ab

copy kitaab kya hai kahte hain aaj bacche
maine kaha hai in ke baste mein ishq hai ab

karne laga hoon main bhi jab se ye shayari to
dekha hai gaav ke har ladke mein ishq hai ab

ik roz kah rahe the radha se shyaam ab to
har ek aadmi ke qisse mein ishq hai ab

pehle pehal hamaari sach dosti hui thi
ab dost ham nahin hain rishte mein ishq hai ab

dono hi apne haathon se rab ne the taraashe
duniya hai doosre par pehle mein ishq hai ab

poocha khuda ne mujh se daulat hai ya muhabbat
kah di khuda se mere hisse mein ishq hai ab

maula bata de tera kya hai yahi tamasha
mahlon mein jism hai ab raste mein ishq hai ab

kamlesh ka hai kehna sab moh sab hai maaya
parde mein dhan kamaaya sheeshe mein ishq hai ab

हिस्से में इश्क़ मेरे क़ब्ज़े में इश्क़ है अब
हर चीज़ भाव में बस सस्ते में इश्क़ है अब

कॉपी किताब क्या है कहते हैं आज बच्चे
मैंने कहा है इन के बस्ते में इश्क़ है अब

करने लगा हूँ मैं भी जब से ये शायरी तो
देखा है गाँव के हर लड़के में इश्क़ है अब

इक रोज़ कह रहे थे राधा से श्याम अब तो
हर एक आदमी के क़िस्से में इश्क़ है अब

पहले पहल हमारी सच दोस्ती हुई थी
अब दोस्त हम नहीं हैं रिश्ते में इश्क़ है अब

दोनों ही अपने हाथों से रब ने थे तराशे
दुनिया है दूसरे पर पहले में इश्क़ है अब

पूछा ख़ुदा ने मुझ से दौलत है या मुहब्बत
कह दी ख़ुदा से मेरे हिस्से में इश्क़ है अब

मौला बता दे तेरा क्या है यही तमाशा
महलों में जिस्म है अब रस्ते में इश्क़ है अब

कमलेश का है कहना सब मोह सब है माया
पर्दे में धन कमाया शीशे में इश्क़ है अब

  - Kamlesh Goyal

More by Kamlesh Goyal

As you were reading Shayari by Kamlesh Goyal

Similar Writers

our suggestion based on Kamlesh Goyal

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari