haan sakhi ke haath mein chaale pade hain
har kisi ke haath mein chaale pade hain
phir udaasi ne hai thaama haath mera
phir khushi ke haath mein chaale pade hain
haath hona chahiye haathon mein jis ke
haan usi ke haath mein chaale pade hain
jis kisi ne mujh pe ungli thi uthaai
un sabhi ke haath mein chaale pade hain
maut mera haath pakde chal rahi hain
zindagi ke haath me chaale pade hain
waqt mera isliye thehra hua hain
phir ghadi ke haath me chaale pade hain
zakhm dene waale apne hi the saare
ajnabi ke haath mein chaale pade hain
jis ke peechhe ham kabhi bachpan mein daude
us pari ke haath mein chaale pade hain
dil lage kamlesh ab kaise kisi se
aashiqi ke haath mein chaale pade hain
हाँ सखी के हाथ में छाले पड़े हैं
हर किसी के हाथ में छाले पड़े हैं
फिर उदासी ने है थामा हाथ मेरा
फिर ख़ुशी के हाथ में छाले पड़े हैं
हाथ होना चाहिए हाथों में जिस के
हाँ उसी के हाथ में छाले पड़े हैं
जिस किसी ने मुझ पे उँगली थी उठाई
उन सभी के हाथ में छाले पड़े हैं
मौत मेरा हाथ पकड़े चल रही हैं
ज़िन्दगी के हाथ मे छाले पड़े हैं
वक़्त मेरा इसलिए ठहरा हुआ हैं
फिर घड़ी के हाथ मे छाले पड़े हैं
ज़ख़्म देने वाले अपने ही थे सारे
अजनबी के हाथ में छाले पड़े हैं
जिस के पीछे हम कभी बचपन में दौड़े
उस परी के हाथ में छाले पड़े हैं
दिल लगे कमलेश अब कैसे किसी से
आशिक़ी के हाथ में छाले पड़े हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kamlesh Goyal
our suggestion based on Kamlesh Goyal
As you were reading Hadsa Shayari Shayari