adaaon pe un kii yun mar jaane waale
hain ye raaste dil ko bahaalne waale
tu marna nahin ishq mein doobne ko
hain ye kaam mar ke bhi pachtaane waale
tire dar pe aa kar to ham ne bhi dekha
wahan kitne the jholi failaane waale
bitaaye hue lamhe marte nahin hain
mujhe yaad aate hain yaad aane waale
khila tere aangan mein ik phool hai ab
tu bhi dekhna phool murjhaane waale
kisi se ho mujh sa bhi vo ishq tujhko
mere haal-e-dil pe yun itraane waale
teri pyaas se main nahin darne waala
chala ja samandar se takraane waale
bataaya nahin raaz apni khushi ka
wafa aur daulat ko thukraane waale
अदाओं पे उन की यूँ मर जाने वाले
हैं ये रास्ते दिल को बहलाने वाले
तू मरना नहीं इश्क़ में डूबने को
हैं ये काम मर के भी पछताने वाले
तिरे दर पे आ कर तो हम ने भी देखा
वहाँ कितने थे झोली फैलाने वाले
बिताए हुए लम्हें मरते नहीं हैं
मुझे याद आते हैं याद आने वाले
खिला तेरे आँगन में इक फूल है अब
तू भी देखना फूल मुरझाने वाले
किसी से हो मुझ सा भी वो इश्क़ तुझको
मेरे हाल-ए-दिल पे यूँ इतराने वाले
तेरी प्यास से मैं नहीं डरने वाला
चला जा समंदर से टकराने वाले
बताया नहीं राज़ अपनी ख़ुशी का
वफ़ा और दौलत को ठुकराने वाले
As you were reading Shayari by Kartik Bhalerao
our suggestion based on Kartik Bhalerao
As you were reading undefined Shayari