kahaan kho gai rooh kii raushni
bata meri raaton kii aawaargi
main jab lamhe lamhe ka ras pee chuka
to kuchh aur jaagi meri tishnagi
agar ghar se nikloon to phir tez dhoop
magar ghar mein dasti hui teergi
ghamon pe tabassum kii daali naqaab
to hone lagi aur be-pardagi
magar jaagna apni qismat mein tha
bulaati rahi neend kii jal-paree
jo taameer kii kunj-e-tanhaai mein
vo deewaar apne hi sar par giri
hui baarish-e-sang us shehar mein
hamein bhi mila haqq-e-ham-saayegi
guzaari hai kitnon ne is tarah umr
bil-aqsaat karte rahe khud-kushi
koii waqt batla ki tujh se miloon
meri daudti bhaagti zindagi
jinhen saath chalna ho chalte rahein
ghadi waqt kii kis kii khaatir ruki
mein jeeta to paai kisi se na daad
mein haara to ghar par badi bheed thi
mujhe ye andhere nigal jaayenge
kahaan hai tu ai mere soorj-mukhi
hua ham pe ab jin ka saaya haraam
thi un baadlon se kabhi dosti
nikale gaye is ke ma'ni hazaar
ajab cheez thi ik meri khaamoshi
कहाँ खो गई रूह की रौशनी
बता मेरी रातों की आवारगी
मैं जब लम्हे लम्हे का रस पी चुका
तो कुछ और जागी मिरी तिश्नगी
अगर घर से निकलूँ तो फिर तेज़ धूप
मगर घर में डसती हुई तीरगी
ग़मों पे तबस्सुम की डाली नक़ाब
तो होने लगी और बे-पर्दगी
मगर जागना अपनी क़िस्मत में था
बुलाती रही नींद की जल-परी
जो तामीर की कुंज-ए-तन्हाई में
वो दीवार अपने ही सर पर गिरी
हुई बारिश-ए-संग उस शहर में
हमें भी मिला हक़्क़-ए-हम-साएगी
गुज़ारी है कितनों ने इस तरह उम्र
बिल-अक़सात करते रहे ख़ुद-कुशी
कोई वक़्त बतला कि तुझ से मिलूँ
मिरी दौड़ती भागती ज़िंदगी
जिन्हें साथ चलना हो चलते रहें
घड़ी वक़्त की किस की ख़ातिर रुकी
में जीता तो पाई किसी से न दाद
में हारा तो घर पर बड़ी भीड़ थी
मुझे ये अंधेरे निगल जाएँगे
कहाँ है तू ऐ मेरे सूरज-मुखी
हुआ हम पे अब जिन का साया हराम
थी उन बादलों से कभी दोस्ती
निकाले गए इस के मअनी हज़ार
अजब चीज़ थी इक मिरी ख़ामुशी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalilur Rahman Azmi
our suggestion based on Khalilur Rahman Azmi
As you were reading Shehar Shayari Shayari