ragon mein zehar-e-khamooshi utarne se zara pehle
bahut tadpi koii awaaz marne se zara pehle
zara sii baat hai kab yaad hogi in hawaon ko
main ik paikar tha zarroon mein bikharne se zara pehle
main ashkon kii tarah is dard ko bhi zabt kar leta
mujhe aagaah to karta ubharne se zara pehle
koii suraj se ye pooche ki kya mehsoos hota hai
bulandi se nashebon mein utarne se zara pehle
kahin tasveer rusva kar na de mere tasavvur ko
musavvir soch mein hai rang bharne se zara pehle
suna hai waqt kuchh khush-rang lamhe le ke guzra hai
mujhe bhi shaad kar jaata guzarne se zara pehle
रगों में ज़हर-ए-ख़ामोशी उतरने से ज़रा पहले
बहुत तड़पी कोई आवाज़ मरने से ज़रा पहले
ज़रा सी बात है कब याद होगी इन हवाओं को
मैं इक पैकर था ज़र्रों में बिखरने से ज़रा पहले
मैं अश्कों की तरह इस दर्द को भी ज़ब्त कर लेता
मुझे आगाह तो करता उभरने से ज़रा पहले
कोई सूरज से ये पूछे कि क्या महसूस होता है
बुलंदी से नशेबों में उतरने से ज़रा पहले
कहीं तस्वीर रुस्वा कर न दे मेरे तसव्वुर को
मुसव्विर सोच में है रंग भरने से ज़रा पहले
सुना है वक़्त कुछ ख़ुश-रंग लम्हे ले के गुज़रा है
मुझे भी 'शाद' कर जाता गुज़रने से ज़रा पहले
As you were reading Shayari by Khushbir Singh Shaad
our suggestion based on Khushbir Singh Shaad
As you were reading undefined Shayari