mujhko ghairat ka to ehsaas dila de koii | मुझको ग़ैरत का तो एहसास दिला दे कोई

  - Jalaal

mujhko ghairat ka to ehsaas dila de koii
kufr kii neend se aakar ke jaga de koii

agli naslein na mohabbat ko masihaai kahein
ab to taarikh ke pannon ko jala de koii

khauf taari na hua saanehe guzare bhi bahut
mujhko hairat bhi nahin khair bhula de koii

ye ajab baat nahin khud se churaaoon nazarein
mujhko meri hi haqeeqat jo bata de koii

tere dil ka main bashar aaj tere qadmon mein
apna meyaar bata kitna gira de koii

khud ke rone kii vajaahat main tujhe kya deta
juz tere haq na diya mujhko rula de koii

achha khaasa main udaasi mein magan rehta hoon
jaam-e-ishrat na mujhe la ke pila de koii

ab sakat hai na meri jeene kii chaahat hi rahi
ho sake to ye meri umr bita de koii

sog jisko bhi manana hai mohabbat ka jalaal
meri majlis ka use ja ke pata de koii

मुझको ग़ैरत का तो एहसास दिला दे कोई
कुफ़्र की नींद से आकर के जगा दे कोई

अगली नस्लें न मोहब्बत को मसीहाई कहें
अब तो तारीख़ के पन्नों को जला दे कोई

ख़ौफ़ तारी न हुआ सानेहे गुज़रे भी बहुत
मुझको हैरत भी नहीं ख़ैर भुला दे कोई

ये अजब बात नहीं ख़ुद से चुराऊॅं नज़रें
मुझको मेरी ही हक़ीक़त जो बता दे कोई

तेरे दिल का मैं बशर आज तेरे क़दमों में
अपना मेयार बता कितना गिरा दे कोई

ख़ुद के रोने की वजाहत मैं तुझे क्या देता
जुज़ तेरे हक़ न दिया मुझको रुला दे कोई

अच्छा ख़ासा मैं उदासी में मगन रहता हूॅं
जाम-ए-इशरत न मुझे ला के पिला दे कोई

अब सकत है न मेरी जीने की चाहत ही रही
हो सके तो ये मेरी उम्र बिता दे कोई

सोग जिसको भी मनाना है मोहब्बत का 'जलाल'
मेरी मजलिस का उसे जा के पता दे कोई

  - Jalaal

More by Jalaal

As you were reading Shayari by Jalaal

Similar Writers

our suggestion based on Jalaal

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari