darasl haqeeqat ko kahaani mein likhenge | दरअस्ल हक़ीक़त को कहानी में लिखेंगे

  - Jalaal

darasl haqeeqat ko kahaani mein likhenge
barbaad hue ham bhi jawaani mein likhenge

ye dard aziyyat ye har ik zakhm-e-tamanna
kuchh shay to teri ham bhi nishaani mein likhenge

is darja sataate hain kabhi yoon bhi mere dost
kya kuchh bhi nahin talkh bayaani mein likhenge

kirdaar se soorat ka koii mol nahin hai
ab tujh ko nahin yusuf-e-saani mein likhenge

dil ko to bura lag hi gaya soch ke aisa
shaamil bhi tujhe khasmi-e-jaani mein likhenge

tumne to sukhun kah ke sunaaya hai magar sab
alfaaz tere shola-bayaani mein likhenge

jo nazm budhape mein likhi us pe jalaal ab
hasrat thi ki aashob-e-jawani mein likhenge

दरअस्ल हक़ीक़त को कहानी में लिखेंगे
बरबाद हुए हम भी जवानी में लिखेंगे

ये दर्द अज़िय्यत ये हर इक ज़ख़्म-ए-तमन्ना
कुछ शय तो तेरी हम भी निशानी में लिखेंगे

इस दर्जा सताते हैं कभी यूॅं भी मेरे दोस्त
क्या कुछ भी नहीं तल्ख़ बयानी में लिखेंगे

किरदार से सूरत का कोई मोल नहीं है
अब तुझ को नहीं यूसुफ़-ए-सानी में लिखेंगे

दिल को तो बुरा लग ही गया सोच के ऐसा
शामिल भी तुझे ख़स्मी-ए-जानी में लिखेंगे

तुमने तो सुख़न कह के सुनाया है मगर सब
अल्फ़ाज़ तेरे शोला-बयानी में लिखेंगे

जो नज़्म बुढ़ापे में लिखी उस पे जलाल अब
हसरत थी कि आशोब-ए-जवानी में लिखेंगे

  - Jalaal

More by Jalaal

As you were reading Shayari by Jalaal

Similar Writers

our suggestion based on Jalaal

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari