baaton se teri tujhko mukarne nahin doonga
ilzaam koii sar mere dharne nahin doonga
barbaad karunga main tere saamne khud ko
aur aah bhi tujhko kabhi bharne nahin doonga
gar zahar sifat hai ye mohabbat ka nasha to
ye zahar kabhi rag mein utarne nahin doonga
ashaar mere dil mein tere naqsh rahenge
khud ko main tujhe yun hi bisrane nahin doonga
khud ko na sanvaaroonga kisi daam mein aakar
ta-umr tujhe bhi main sanwarne nahin doonga
main khud hi kuredoonga ise fursat-e-lamhaat
ye zakham-e-jigar main kabhi bharne nahin doonga
jisko bhi rakha dil mein usi ne ise toda
ab dil mein kisi ko bhi utarne nahin doonga
jis dil mein muqeem ab mujhe thukra ke hue ho
us dil mein tumhein bhi main thehrne nahin doonga
aamada karunga main tumhein jang pe ik din
phir saamne aao to bifarane nahin doonga
बातों से तेरी तुझको मुकरने नहीं दूँगा
इल्ज़ाम कोई सर मेरे धरने नहीं दूँगा
बर्बाद करूँगा मैं तेरे सामने ख़ुद को
और आह भी तुझको कभी भरने नहीं दूँगा
गर ज़हर सिफ़त है ये मोहब्बत का नशा तो
ये ज़हर कभी रग में उतरने नहीं दूँगा
अशआर मेरे दिल में तेरे नक़्श रहेंगे
ख़ुद को मैं तुझे यूँ ही बिसरने नहीं दूँगा
ख़ुद को न सँवारूँगा किसी दाम में आकर
ता-उम्र तुझे भी मैं सँवरने नहीं दूँगा
मैं खुद ही कुरेदूँगा इसे फ़ुर्सत-ए-लम्हात
ये ज़ख़्म-ए-जिगर मैं कभी भरने नहीं दूँगा
जिसको भी रखा दिल में उसी ने इसे तोड़ा
अब दिल में किसी को भी उतरने नहीं दूँगा
जिस दिल में मुक़ीम अब मुझे ठुकरा के हुए हो
उस दिल में तुम्हें भी मैं ठहरने नहीं दूँगा
आमादा करूँगा मैं तुम्हें जंग पे इक दिन
फिर सामने आओ तो बिफरने नहीं दूँगा
As you were reading Shayari by Jalaal
our suggestion based on Jalaal
As you were reading undefined Shayari