chheda aakar jo abhi tumne fasana dil ka
aa gaya yaad wahi zakhm puraana dil ka
ik tabassum kii nazar teri qasam jaan-e-jigar
ham ne is baat ko maana tha bayana dil ka
meri namnaak nigaahon se bhala hairat kyoon
itna aasaan to nahin dard chhupaana dil ka
phir tasavvur mein koii dhundli jhalak rahti hai
kitni ujlat mein guzarta hai zamaana dil ka
ham ne palkon mein abhi tak hai samete rakkha
ek tasveer nahin dard puraana dil ka
dard ko aur bahut aur badha dega magar
phir bhi ham shauq se sunte hain taraana dil ka
jalte sholon pe ise kyoon na rakhen ham bhi jalaal
isse behtar to nahin aur thikaana dil ka
छेड़ा आकर जो अभी तुमने फ़साना दिल का
आ गया याद वही ज़ख़्म पुराना दिल का
इक तबस्सुम की नज़र तेरी क़सम जान-ए-जिगर
हम ने इस बात को माना था बयाना दिल का
मेरी नमनाक निगाहों से भला हैरत क्यूॅं
इतना आसाँ तो नहीं दर्द छुपाना दिल का
फिर तसव्वुर में कोई धुँदली झलक रहती है
कितनी उजलत में गुज़रता है ज़माना दिल का
हम ने पलकों में अभी तक है समेटे रक्खा
एक तस्वीर नहीं दर्द पुराना दिल का
दर्द को और बहुत और बढ़ा देगा मगर
फिर भी हम शौक़ से सुनते हैं तराना दिल का
जलते शोलों पे इसे क्यूॅं न रखें हम भी 'जलाल'
इससे बेहतर तो नहीं और ठिकाना दिल का
As you were reading Shayari by Jalaal
our suggestion based on Jalaal
As you were reading undefined Shayari