zindagi se badi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahin
itne hisson mein bat gaya hoon main
mere hisse mein kuchh bacha hi nahin
zindagi maut teri manzil hai
doosra koii raasta hi nahin
sach ghate ya badhe to sach na rahe
jhooth kii koii intiha hi nahin
zindagi ab bata kahaan jaayen
zahar bazaar mein mila hi nahin
jis ke kaaran fasaad hote hain
us ka koii ata-pata hi nahin
kaise avtaar kaise paighambar
aisa lagta hai ab khuda hi nahin
chahe sone ke frame mein jad do
aaina jhooth bolta hi nahin
apni rachnaon mein vo zinda hai
noor sansaar se gaya hi nahin
ज़िंदगी से बड़ी सज़ा ही नहीं
और क्या जुर्म है पता ही नहीं
इतने हिस्सों में बट गया हूँ मैं
मेरे हिस्से में कुछ बचा ही नहीं
ज़िंदगी मौत तेरी मंज़िल है
दूसरा कोई रास्ता ही नहीं
सच घटे या बढ़े तो सच न रहे
झूट की कोई इंतिहा ही नहीं
ज़िंदगी अब बता कहाँ जाएँ
ज़हर बाज़ार में मिला ही नहीं
जिस के कारन फ़साद होते हैं
उस का कोई अता-पता ही नहीं
कैसे अवतार कैसे पैग़मबर
ऐसा लगता है अब ख़ुदा ही नहीं
चाहे सोने के फ़्रेम में जड़ दो
आईना झूट बोलता ही नहीं
अपनी रचनाओं में वो ज़िंदा है
'नूर' संसार से गया ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Krishna Bihari Noor
our suggestion based on Krishna Bihari Noor
As you were reading Crime Shayari Shayari