bas ek waqt ka khanjar meri talash mein hai
jo roz bhes badal kar meri talash mein hai
ye aur baat ki pahchaanta nahin hai mujhe
suna hai ek sitamgar meri talash mein hai
adhoore khwaabon se ukta ke jis ko chhod diya
shikan-naseeb vo bistar meri talash mein hai
ye mere ghar ki udaasi hai aur kuchh bhi nahin
diya jalaae jo dar par meri talash mein hai
aziz hoon main mujhe kis qadar ki har ik gham
tiri nigaah bacha kar meri talash mein hai
main ek qatra hoon mera alag vujood to hai
hua kare jo samundar meri talash mein hai
vo ek saaya hai apna ho ya paraaya ho
janam janam se barabar meri talash mein hai
main devta ki tarah qaid apne mandir mein
vo mere jism se baahar meri talash mein hai
main jis ke haath mein ik phool de ke aaya tha
usi ke haath ka patthar meri talash mein hai
vo jis khuloos ki shiddat ne maar daala noor
wahi khuloos mukarrar meri talash mein hai
बस एक वक़्त का ख़ंजर मिरी तलाश में है
जो रोज़ भेस बदल कर मिरी तलाश में है
ये और बात कि पहचानता नहीं है मुझे
सुना है एक सितमगर मिरी तलाश में है
अधूरे ख़्वाबों से उकता के जिस को छोड़ दिया
शिकन-नसीब वो बिस्तर मिरी तलाश में है
ये मेरे घर की उदासी है और कुछ भी नहीं
दिया जलाए जो दर पर मिरी तलाश में है
अज़ीज़ हूँ मैं मुझे किस क़दर कि हर इक ग़म
तिरी निगाह बचा कर मिरी तलाश में है
मैं एक क़तरा हूँ मेरा अलग वजूद तो है
हुआ करे जो समुंदर मिरी तलाश में है
वो एक साया है अपना हो या पराया हो
जनम जनम से बराबर मिरी तलाश में है
मैं देवता की तरह क़ैद अपने मंदिर में
वो मेरे जिस्म से बाहर मेरी तलाश में है
मैं जिस के हाथ में इक फूल दे के आया था
उसी के हाथ का पत्थर मेरी तलाश में है
वो जिस ख़ुलूस की शिद्दत ने मार डाला 'नूर'
वही ख़ुलूस मुक़र्रर मिरी तलाश में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Krishna Bihari Noor
our suggestion based on Krishna Bihari Noor
As you were reading Gunaah Shayari Shayari