apne hone ka suboot aur nishaan chhodti hai
raasta koi nadi yun hi kahaan chhodti hai
nashe mein doobe koi koi jiye koi mare
teer kya kya teri aankhon ki kamaan chhodti hai
band aankhon ko nazar aati hai jaag uthati hai
raushni aisi har aawaaz-e-azaan chhodti hai
khud bhi kho jaati hai mit jaati hai mar jaati hai
jab koi qaum kabhi apni zabaan chhodti hai
aatma naam hi rakhti hai na mazhab koi
vo to marti bhi nahin sirf makaan chhodti hai
ek din sab ko chukaana hai anaasir ka hisaab
zindagi chhod bhi de maut kahaan chhodti hai
zabt-e-gham khel nahin hai ab kaise samjhaaoon
dekhna meri chitaa kitna dhuaan chhodti hai
अपने होने का सुबूत और निशाँ छोड़ती है
रास्ता कोई नदी यूँ ही कहाँ छोड़ती है
नशे में डूबे कोई, कोई जिए, कोई मरे
तीर क्या क्या तेरी आँखों की कमाँ छोड़ती है
बंद आँखों को नज़र आती है जाग उठती है
रौशनी ऐसी हर आवाज़-ए-अज़ाँ छोड़ती है
खुद भी खो जाती है, मिट जाती है, मर जाती है
जब कोई क़ौम कभी अपनी ज़बाँ छोड़ती है
आत्मा नाम ही रखती है न मज़हब कोई
वो तो मरती भी नहीं सिर्फ़ मकाँ छोड़ती है
एक दिन सब को चुकाना है अनासिर का हिसाब
ज़िन्दगी छोड़ भी दे मौत कहाँ छोड़ती है
ज़ब्त-ए-ग़म खेल नहीं है अब कैसे समझाऊँ
देखना मेरी चिता कितना धुआँ छोड़ती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Krishna Bihari Noor
our suggestion based on Krishna Bihari Noor
As you were reading Qabr Shayari Shayari