rang laaya na kabhi burge-hina mere baad | रंग लाया न कभी बर्गे-हिना मेरे बाद

  - Krishna Bihari Noor

rang laaya na kabhi burge-hina mere baad
us hatheli pe koi gul na khila mere baad

usne yoon hi nahin chhodi hai jafaa mere baad
teer hi koi na tarkash mein bacha mere baad

aaina dil ka mere hote hue kar lo saaf
yoon bhi uda jaayegi ye garde-ana mere baad

maine jab chhod di duniya to akela hi raha
kaun deta mere hone ka pata mere baad

kooche-yaar ki baatein main kiya karta tha
ab agar aati to kya paati saba mere baad

jism hota to nazar aata bhi main bhi vo bhi
saath rehta hai mere mera khuda mere baad

parvarish jiski jahaan hoti hai rehta hai wahin
kiske ghar jaayega sailaab-e-bala mere baad

noor bas itna hi mehsoos hua ye jaana
fark hone ka na hone ka mita mere baad

रंग लाया न कभी बर्गे-हिना मेरे बाद
उस हथेली पे कोई गुल न खिला मेरे बाद

उसने यूं ही नहीं छोड़ी है जफ़ा मेरे बाद
तीर ही कोई न तरकश में बचा मेरे बाद

आइना दिल का मेरे होते हुए कर लो साफ़
यूं भी उड़ा जाएगी ये गर्दे-अना मेरे बाद

मैंने जब छोड़ दी दुनिया तो अकेला ही रहा
कौन देता मेरे होने का पता मेरे बाद

कूचए-यार की बातें मैं किया करता था
अब अगर आती तो क्या पाती सबा मेरे बाद

जिस्म होता तो नज़र आता भी मैं भी, वो भी
साथ रहता है मेरे मेरा ख़ुदा मेरे बाद

परवरिश जिसकी जहां होती है रहता है वहीं
किसके घर जाएगा सैलाबे-बला मेरे बाद

नूर बस इतना ही महसूस हुआ ये जाना
फ़र्क होने का न होने का मिटा मेरे बाद

  - Krishna Bihari Noor

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Krishna Bihari Noor

As you were reading Shayari by Krishna Bihari Noor

Similar Writers

our suggestion based on Krishna Bihari Noor

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari