gali ki hawa | “गली की हवा” - Laayar

gali ki hawa

barson pehle ek mohalle mein
yaaron sang ek chhota sa ghar tha apna
us gali mein kuchh khaas tha
wahan ek hawa chalti thi

door mandir se chalke faatak ko cheerati
kabhi paidal to kabhi motor pe jaise
vo dil ko sukoon aur tabiyat ko khushi de jaati thi
kabhi na bahe to ek ajeeb maayusi bhi laati thi

garmiyon mein thand sardiyon mein garm
kabhi bade sahab toofaan ke saath
dar ko mere bhakaati thi
to kabhi mere suron ke saath mil dhun hi ban jaati thi

din dhoop aur raat yaaron ke naam
mere us mohalle ki kuchh aisi hi kahaani thi
bas jaam sangeet aur hasi
shaayad vo hi meri jawaani thi

barson pehle us gali mein kuchh to khaas tha
wahan ek hawa chalti thi

“गली की हवा”

बरसों पहले, एक मोहल्ले में
यारों संग, एक छोटा सा घर था अपना
उस गली में कुछ ख़ास था
वहाँ एक हवा चलती थी

दूर मन्दिर से चलके, फाटक को चीरती
कभी पैदल तो कभी मोटर पे जैसे
वो दिल को सुकून और तबियत को ख़ुशी दे जाती थी
कभी ना बहे तो एक अजीब मायूसी भी लाती थी

गर्मियों में ठंड, सर्दियों में गर्म
कभी बड़े साहब तूफ़ाँ के साथ
डर को मेरे बहकाती थी
तो कभी मेरे सुरों के साथ मिल धुन ही बन जाती थी

दिन धूप और रात यारों के नाम
मेरे उस मोहल्ले की कुछ ऐसी ही कहानी थी
बस जाम, संगीत और हँसी
शायद वो ही मेरी जवानी थी

बरसों पहले, उस गली में कुछ तो ख़ास था
वहाँ एक हवा चलती थी

- Laayar
1 Like

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Laayar

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari