is zindagi ko maut se bhi bad-tareen dekh
ka'be ko ja rahe hain yahan munkireen dekh
ik baar usne aankh dikhaai thi mujhko dost
neeche hai uski aaj talak aasteen dekh
vo dosti nibhaaega is dushmani ke baad
apne raqeeb par kabhi karke yaqeen dekh
maasoomiyat bhi mit gaeein naadaaniyaan bhi khatm
ik haadse ne kar diya kitna zaheen dekh
chaalaakiyaan ye khwaahishein aadam se kahti hain
behtar ko pa liya hai to ab behtareen dekh
phoolon ka gosht noch ke kaanton ko chun liya
ye titliyan bhi khoon kii hain shaaiqeen dekh
school ke dinon mein jinhen dekhte na the
vo ladkiyaan bhi ho gaeein kitni haseen dekh
इस ज़िंदगी को मौत से भी बद-तरीन देख
का'बे को जा रहे हैं यहाँ मुंकिरीन देख
इक बार उसने आँख दिखाई थी मुझको दोस्त
नीचे है उसकी आज तलक आस्तीन देख
वो दोस्ती निभाएगा इस दुश्मनी के बाद
अपने रक़ीब पर कभी करके यक़ीन देख
मासूमियत भी मिट गईं नादानियाँ भी ख़त्म
इक हादसे ने कर दिया कितना ज़हीन देख
चालाकियाँ ये ख़्वाहिशें आदम से कहती हैं
बेहतर को पा लिया है तो अब बेहतरीन देख
फूलों का गोश्त नोच के काँटों को चुन लिया
ये तितलियाँ भी ख़ून की हैं शाइक़ीन देख
स्कूल के दिनों में जिन्हें देखते न थे
वो लड़कियाँ भी हो गईं कितनी हसीन देख
As you were reading Shayari by Lalit Pandey
our suggestion based on Lalit Pandey
As you were reading undefined Shayari