khwaab taabeer mein dhalti hain yahan se aage
aa nikal jaayen shab-e-wahm-o-gumaan se aage
rang pairaahan-e-khaaki ka badlne ke liye
mujh ko jaana hai abhi reg-e-ravaan se aage
ik qadam aur sahi shehr-e-tanaffus se udhar
ik safar aur sahi koocha-e-jaan se aage
is safar se koi lautaa nahin kis se poochen
kaisi manzil hai jahaan-e-guzraan se aage
main bahut tez hawaon ki guzargaah mein hoon
ek basti hai kahi mere makaan se aage
meri aawaargi yun hi to nahin hai aasim
koi khushboo hai meri umr-e-ravaan se aage
ख़्वाब ताबीर में ढलते हैं यहाँ से आगे
आ निकल जाएँ शब-ए-वहम-ओ-गुमाँ से आगे
रंग पैराहन-ए-ख़ाकी का बदलने के लिए
मुझ को जाना है अभी रेग-ए-रवाँ से आगे
इक क़दम और सही शहर-ए-तनफ़्फ़ुस से उधर
इक सफ़र और सही कूचा-ए-जाँ से आगे
इस सफ़र से कोई लौटा नहीं किस से पूछें
कैसी मंज़िल है जहान-ए-गुज़राँ से आगे
मैं बहुत तेज़ हवाओं की गुज़रगाह में हूँ
एक बस्ती है कहीं मेरे मकाँ से आगे
मेरी आवारगी यूँ ही तो नहीं है 'आसिम'
कोई ख़ुशबू है मिरी उम्र-ए-रवाँ से आगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim
our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim
As you were reading Gulshan Shayari Shayari