mehrab-e-khush-qayaam se aage nikal gai | मेहराब-ए-ख़ुश-क़याम से आगे निकल गई - Liyaqat Ali Aasim

mehrab-e-khush-qayaam se aage nikal gai
khushboo diye ki shaam se aage nikal gai

ghaafil na jaaniye mujhe masroof-e-jang hoon
us chup se jo kalaam se aage nikal gai

tum saath ho to dhoop ka ehsaas tak nahin
ye dopahar to shaam se aage nikal gai

marne ka koi khauf na jeene ki aarzoo
kya zindagi davaam se aage nikal gai

aasim vo koi dost nahin tha jo theharta
duniya thi apne kaam se aage nikal gai

मेहराब-ए-ख़ुश-क़याम से आगे निकल गई
ख़ुशबू दिए की शाम से आगे निकल गई

ग़ाफ़िल न जानिए मुझे मसरूफ़-ए-जंग हूँ
उस चुप से जो कलाम से आगे निकल गई

तुम साथ हो तो धूप का एहसास तक नहीं
ये दोपहर तो शाम से आगे निकल गई

मरने का कोई ख़ौफ़ न जीने की आरज़ू
क्या ज़िंदगी दवाम से आगे निकल गई

'आसिम' वो कोई दोस्त नहीं था जो ठहरता
दुनिया थी अपने काम से आगे निकल गई

- Liyaqat Ali Aasim
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liyaqat Ali Aasim

As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari