kahi aisa na ho daaman jala lo
hamaare aansuon par khaak daalo
manana hi zaroori hai to phir tum
hamein sab se khafa ho kar manaa lo
bahut roee hui lagti hain aankhen
meri khaatir zara kaajal laga lo
akeley-pan se khauf aata hai mujh ko
kahaan ho ai mere khwaabo khayalo
bahut mayus baitha hoon main tum se
kabhi aa kar mujhe hairat mein daalo
कहीं ऐसा न हो दामन जला लो
हमारे आँसुओं पर ख़ाक डालो
मनाना ही ज़रूरी है तो फिर तुम
हमें सब से ख़फ़ा हो कर मना लो
बहुत रोई हुई लगती हैं आँखें
मिरी ख़ातिर ज़रा काजल लगा लो
अकेले-पन से ख़ौफ़ आता है मुझ को
कहाँ हो ऐ मिरे ख़्वाबो ख़यालो
बहुत मायूस बैठा हूँ मैं तुम से
कभी आ कर मुझे हैरत में डालो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim
our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim
As you were reading Khafa Shayari Shayari