tu na tha teri tamannaa dekhne ki cheez thi | तू न था तेरी तमन्ना देखने की चीज़ थी - Liyaqat Ali Aasim

tu na tha teri tamannaa dekhne ki cheez thi
dil na maana warna duniya dekhne ki cheez thi

kya khabar mere junoon ko shehar kyun raas aa gaya
aise aalam mein to sehra dekhne ki cheez thi

tum ko ai aankhon kahaan rakhta main kunj-e-khwaab mein
husn tha aur husn tanhaa dekhne ki cheez thi

lams ki lau mein pighlata hujra-e-zaat-o-sifaat
tum bhi hote to andhera dekhne ki cheez thi

aa gaya mere makaan tak aur aa kar rah gaya
baarishon ke b'ad dariya dekhne ki cheez thi

dhoop kahti hi rahi main dhoop hoon main dhoop hoon
apne saaye par bharosa dekhne ki cheez thi

shaam ke saaye mein jaise ped ka saaya mile
mere mitne ka tamasha dekhne ki cheez thi

तू न था तेरी तमन्ना देखने की चीज़ थी
दिल न माना वर्ना दुनिया देखने की चीज़ थी

क्या ख़बर मेरे जुनूँ को शहर क्यूँ रास आ गया
ऐसे आलम में तो सहरा देखने की चीज़ थी

तुम को ऐ आँखो कहाँ रखता मैं कुंज-ए-ख़्वाब में
हुस्न था और हुस्न तन्हा देखने की चीज़ थी

लम्स की लौ में पिघलता हुज्रा-ए-ज़ात-ओ-सिफ़ात
तुम भी होते तो अंधेरा देखने की चीज़ थी

आ गया मेरे मकाँ तक और आ कर रह गया
बारिशों के ब'अद दरिया देखने की चीज़ थी

धूप कहती ही रही मैं धूप हूँ मैं धूप हूँ
अपने साए पर भरोसा देखने की चीज़ थी

शाम के साए में जैसे पेड़ का साया मिले
मेरे मिटने का तमाशा देखने की चीज़ थी

- Liyaqat Ali Aasim
0 Likes

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Liyaqat Ali Aasim

As you were reading Shayari by Liyaqat Ali Aasim

Similar Writers

our suggestion based on Liyaqat Ali Aasim

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari