ye bhi meri na hoti to kidhar jaata | ये भी मेरी न होती तो किधर जाता - Shiv Sagar

ye bhi meri na hoti to kidhar jaata
na karta shayari jo to main mar jaata

na jaane kyun rakha uljhaaye hi usne
tabhi achha tha vo pehle mukar jaata

mera ghar to kai sadiyon se ujda tha
ziyaada to nahin thoda bikhar jaata

haan thi ummeed jab woh paas hi hoti
main phir to yaar ikdam se nikhar jaata

ये भी मेरी न होती तो किधर जाता
न करता शायरी जो तो मैं मर जाता

न जाने क्यों रखा उलझाए ही उसने
तभी अच्छा था वो पहले मुकर जाता

मिरा घर तो कई सदियों से उजड़ा था
ज़ियादा तो नहीं थोड़ा बिखर जाता

हाँ थी उम्मीद जब वह पास ही होती
मैं फिर तो यार इकदम से निखर जाता

- Shiv Sagar
0 Likes

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Shiv Sagar

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari