sambhaalne se tabeeyat kahaan sambhalti hai | सँभालने से तबीअत कहाँ सँभलती है

  - Mahboob Khizan

sambhaalne se tabeeyat kahaan sambhalti hai
vo be-kasi hai ki duniya ragon mein chalti hai

ye sard-mehr ujaala ye jeeti-jaagti raat
tire khayal se tasveer-e-maah jaltee hai

vo chaal ho ki badan ho kamaan jaisi kashish
qadam se ghaat ada se ada nikalti hai

tumhein khayal nahin kis tarah bataayein tumhein
ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai

tumhaare shehar ka insaaf hai ajab insaaf
idhar nigaah udhar zindagi badalti hai

bikhar gaye mujhe saanche mein dhaalne waale
yahan to zaat bhi saanche samet dhalti hai

khizaan hai haasil-e-hangaama-e-bahaar khizaan
bahaar phoolti hai kaayenaat phalti hai

सँभालने से तबीअत कहाँ सँभलती है
वो बे-कसी है कि दुनिया रगों में चलती है

ये सर्द-मेहर उजाला ये जीती-जागती रात
तिरे ख़याल से तस्वीर-ए-माह जलती है

वो चाल हो कि बदन हो कमान जैसी कशिश
क़दम से घात अदा से अदा निकलती है

तुम्हें ख़याल नहीं किस तरह बताएँ तुम्हें
कि साँस चलती है लेकिन उदास चलती है

तुम्हारे शहर का इंसाफ़ है अजब इंसाफ़
इधर निगाह उधर ज़िंदगी बदलती है

बिखर गए मुझे साँचे में ढालने वाले
यहाँ तो ज़ात भी साँचे समेत ढलती है

ख़िज़ाँ है हासिल-ए-हंगामा-ए-बहार 'ख़िज़ाँ'
बहार फूलती है काएनात फलती है

  - Mahboob Khizan

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari