hum aap qayamat se guzar kyun nahin jaate | हम आप क़यामत से गुज़र क्यूँ नहीं जाते - Mahboob Khizan

hum aap qayamat se guzar kyun nahin jaate
jeene ki shikaayat hai to mar kyun nahin jaate

katraate hain bal khaate hain ghabraate hain kyun log
sardi hai to paani mein utar kyun nahin jaate

aankhon mein namak hai to nazar kyun nahin aata
palkon pe guhar hain to bikhar kyun nahin jaate

akhbaar mein rozaana wahi shor hai yaani
apne se ye haalaat sanwar kyun nahin jaate

ye baat abhi mujh ko bhi maaloom nahin hai
patthar idhar aate hain udhar kyun nahin jaate

teri hi tarah ab ye tire hijr ke din bhi
jaate nazar aate hain magar kyun nahin jaate

ab yaad kabhi aaye to aaine se poocho
mahboob-khizaan shaam ko ghar kyun nahin jaate

हम आप क़यामत से गुज़र क्यूँ नहीं जाते
जीने की शिकायत है तो मर क्यूँ नहीं जाते

कतराते हैं बल खाते हैं घबराते हैं क्यूँ लोग
सर्दी है तो पानी में उतर क्यूँ नहीं जाते

आँखों में नमक है तो नज़र क्यूँ नहीं आता
पलकों पे गुहर हैं तो बिखर क्यूँ नहीं जाते

अख़बार में रोज़ाना वही शोर है यानी
अपने से ये हालात सँवर क्यूँ नहीं जाते

ये बात अभी मुझ को भी मालूम नहीं है
पत्थर इधर आते हैं उधर क्यूँ नहीं जाते

तेरी ही तरह अब ये तिरे हिज्र के दिन भी
जाते नज़र आते हैं मगर क्यूँ नहीं जाते

अब याद कभी आए तो आईने से पूछो
'महबूब-ख़िज़ाँ' शाम को घर क्यूँ नहीं जाते

- Mahboob Khizan
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Khizan

As you were reading Shayari by Mahboob Khizan

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Khizan

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari