main hoon qaid kisi tahkhaane mein
der lagegi mujhko aane mein
rona mujhko hai bas ek wahin
haan haan bas uske hi shaane mein
yaar abhi main shayar adnaa hoon
waqt lagega mujhko chhaane mein
naam likha hai khaane waalon ka
khaane ke har daane daane mein
mera man hai usko khone ka
kya rakha hai usko paane mein
tum sab bhi kandha badloge hi
meri mayyat ko le jaane mein
dekho main ab kiska hota hoon
bas do hi ladki hai zamaane mein
hansati hai vo mere hansne se
ro padta hoon usko hansaane mein
meri aisi haalat hai pehle
aansoo peena padta kuchh khaane mein
मैं हूं क़ैद किसी तहखाने में
देर लगेगी मुझको आने में
रोना मुझको है बस एक वहीं
हां हां बस उसके ही शाने में
यार अभी मैं शायर अदना हूं
वक्त लगेगा मुझको छाने में
नाम लिखा है खाने वालों का
खाने के हर दाने दाने में
मेरा मन है उसको खोने का
क्या रक्खा है उसको पाने में
तुम सब भी कंधा बदलोगे ही
मेरी मय्यत को ले जाने में
देखो मैं अब किसका होता हूं
बस दो ही लड़की है ज़माने में
हंसती है वो मेरे हंसने से
रो पड़ता हूं उसको हंसाने में
मेरी ऐसी हालत है, पहले
आंसू पीना पड़ता कुछ खाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Altamash
our suggestion based on Kabir Altamash
As you were reading Sad Shayari Shayari