chehre pe saare shehar ke gard-e-malaal hai
jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai
uljhan ghutan hiraas tapish karb intishaar
vo bheed hai ke saans bhi lena muhaal hai
aawaargi ka haq hai hawaon ko shehar mein
ghar se charaagh le ke nikalna muhaal hai
be-chehergi kii bheed mein gum hai har ik vujood
aaina poochta hai kahaan khadd-o-khaal hai
jin mein ye wasf ho ki chhupa len har ek daagh
un aainon kii aaj badi dekh-bhaal hai
parchaaiyaan qadon se bhi aage nikal gaeein
suraj ke doob jaane ka ab ehtimaal hai
kashkol-e-chashm le ke firo tum na dar-b-dar
manzoor kaht-e-jins-e-wafa ka ye saal hai
चेहरे पे सारे शहर के गर्द-ए-मलाल है
जो दिल का हाल है वही दिल्ली का हाल है
उलझन घुटन हिरास तपिश कर्ब इंतिशार
वो भीड़ है के साँस भी लेना मुहाल है
आवारगी का हक़ है हवाओं को शहर में
घर से चराग़ ले के निकलना मुहाल है
बे-चेहरगी की भीड़ में गुम है हर इक वजूद
आईना पूछता है कहाँ ख़द्द-ओ-ख़ाल है
जिन में ये वस्फ़ हो कि छुपा लें हर एक दाग़
उन आइनों की आज बड़ी देख-भाल है
परछाइयाँ क़दों से भी आगे निकल गईं
सूरज के डूब जाने का अब एहतिमाल है
कश्कोल-ए-चश्म ले के फिरो तुम न दर-ब-दर
'मंज़ूर' क़हत-ए-जिंस-ए-वफ़ा का ये साल है
As you were reading Shayari by Malikzada Manzoor Ahmad
our suggestion based on Malikzada Manzoor Ahmad
As you were reading undefined Shayari