na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe
khud apne baagh ke phoolon se dar lage hai mujhe
ajeeb dard ka rishta hai saari duniya mein
kahin ho jalta makaan apna ghar lage hai mujhe
main ek jaam hoon kis kis ke hont tak pahunchu
gazab kii pyaas liye har bashar lage hai mujhe
taraash leta hoon us se bhi aaine manzoor
kisi ke haath ka patthar agar lage hai mujhe
न ख़ौफ़-ए-बर्क़ न ख़ौफ़-ए-शरर लगे है मुझे
ख़ुद अपने बाग़ के फूलों से डर लगे है मुझे
अजीब दर्द का रिश्ता है सारी दुनिया में
कहीं हो जलता मकाँ अपना घर लगे है मुझे
मैं एक जाम हूँ किस किस के होंट तक पहुँचूँ
ग़ज़ब की प्यास लिए हर बशर लगे है मुझे
तराश लेता हूँ उस से भी आइने 'मंज़ूर'
किसी के हाथ का पत्थर अगर लगे है मुझे
As you were reading Shayari by Malikzada Manzoor Ahmad
our suggestion based on Malikzada Manzoor Ahmad
As you were reading undefined Shayari