chaand sitaare qaid hain saare waqt ke bandi-khaane mein | चाँद सितारे क़ैद हैं सारे वक़्त के बंदी-ख़ाने में

  - Meeraji

chaand sitaare qaid hain saare waqt ke bandi-khaane mein
lekin main azaad hoon saaqi chhote se paimaane mein

umr hai faani umr hai baaki is kii kuchh parwa hi nahin
tu ye kah de waqt lagega kitna aane jaane mein

tujh se doori doori kab thi paas aur door to dhoka hain
farq nahin anmol ratan ko kho kar phir se paane mein

do pal kii thi andhi jawaani nadaani kii bhar paaya
umr bhala kyun beete saari ro ro kar pachtaane mein

pehle tera deewaana tha ab hai apna deewaana
paagal-pan hai waisa hi kuchh farq nahin deewane mein

khushiyaan aayein achha aayein mujh ko kya ehsaas nahin
sudh-budh saari bhool gaya hoon dukh ke geet sunaane mein

apni beeti kaise sunaayein mad-masti kii baatein hain
meera-ji ka jeevan beeta paas ke ik may-khaane mein

चाँद सितारे क़ैद हैं सारे वक़्त के बंदी-ख़ाने में
लेकिन मैं आज़ाद हूँ साक़ी छोटे से पैमाने में

उम्र है फ़ानी उम्र है बाक़ी इस की कुछ पर्वा ही नहीं
तू ये कह दे वक़्त लगेगा कितना आने जाने में

तुझ से दूरी दूरी कब थी पास और दूर तो धोका हैं
फ़र्क़ नहीं अनमोल रतन को खो कर फिर से पाने में

दो पल की थी अंधी जवानी नादानी की भर पाया
उम्र भला क्यूँ बीते सारी रो रो कर पछताने में

पहले तेरा दीवाना था अब है अपना दीवाना
पागल-पन है वैसा ही कुछ फ़र्क़ नहीं दीवाने में

ख़ुशियाँ आईं अच्छा आईं मुझ को क्या एहसास नहीं
सुध-बुध सारी भूल गया हूँ दुख के गीत सुनाने में

अपनी बीती कैसे सुनाएँ मद-मस्ती की बातें हैं
'मीरा-जी' का जीवन बीता पास के इक मय-ख़ाने में

  - Meeraji

More by Meeraji

As you were reading Shayari by Meeraji

Similar Writers

our suggestion based on Meeraji

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari