ghar hamaara jo na rote bhi to veeraan hota | घर हमारा जो न रोते भी तो वीराँ होता - Mirza Ghalib

ghar hamaara jo na rote bhi to veeraan hota
bahar gar bahar na hota to biyaabaan hota

tangi-e-dil ka gila kya ye vo kaafir-dil hai
ki agar tang na hota to pareshaan hota

baad yak-umr-e-waraa baar to deta baare
kaash rizwan hi dar-e-yaar ka darbaan hota

घर हमारा जो न रोते भी तो वीराँ होता
बहर गर बहर न होता तो बयाबाँ होता

तंगी-ए-दिल का गिला क्या ये वो काफ़िर-दिल है
कि अगर तंग न होता तो परेशाँ होता

बाद यक-उम्र-ए-वरा' बार तो देता बारे
काश रिज़वाँ ही दर-ए-यार का दरबाँ होता

- Mirza Ghalib
0 Likes

Shikwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Shikwa Shayari Shayari