ho gai hai gair ki sheerin-bayaani kaargar
ishq ka us ko gumaan ham be-zabaanon par nahin
zabt se matlab b-juz waarastagi deegar nahin
daaman-e-timsaal aab-e-aaina se tar nahin
bais-e-iza hai barham-khurdan-e-bazm-e-surur
lakht lakht-e-sheesha-e-b-shikaasta juz nishtar nahin
dil ko izhaar-e-sukhan andaaz-e-fatah-ul-baab hai
yaa shareer-e-khaama ghair-az-istikhaak-e-dar nahin
हो गई है ग़ैर की शीरीं-बयानी कारगर
इश्क़ का उस को गुमाँ हम बे-ज़बानों पर नहीं
ज़ब्त से मतलब ब-जुज़ वारस्तगी दीगर नहीं
दामन-ए-तिमसाल आब-ए-आइना से तर नहीं
बाइस-ए-ईज़ा है बरहम-ख़ुर्दन-ए-बज़्म-ए-सुरूर
लख़्त लख़्त-ए-शीशा-ए-ब-शिकास्ता जुज़ निश्तर नहीं
दिल को इज़्हार-ए-सुख़न अंदाज़-ए-फ़तह-उल-बाब है
याँ सरीर-ए-ख़ामा ग़ैर-अज़-इस्तिकाक-ए-दर नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Dil Shayari Shayari