ishq taaseer se naumaid nahin
jaan-sipaari shajar-e-bed nahin
saltanat dast-b-dast aayi hai
jaam-e-may khaatam-e-jamshed nahin
hai tajalli tiri saamaan-e-wujood
zarra be-partaw-e-khursheed nahin
raaz-e-maashooq na rusva ho jaaye
warna mar jaane mein kuchh bhed nahin
gardish-e-rang-e-tarab se dar hai
gham-e-mahroomi-e-jaaved nahin
kahte hain jeete hain ummed pe log
ham ko jeene ki bhi ummed nahin
इश्क़ तासीर से नौमेद नहीं
जाँ-सिपारी शजर-ए-बेद नहीं
सल्तनत दस्त-ब-दस्त आई है
जाम-ए-मय ख़ातम-ए-जमशेद नहीं
है तजल्ली तिरी सामान-ए-वजूद
ज़र्रा बे-परतव-ए-ख़ुर्शेद नहीं
राज़-ए-माशूक़ न रुस्वा हो जाए
वर्ना मर जाने में कुछ भेद नहीं
गर्दिश-ए-रंग-ए-तरब से डर है
ग़म-ए-महरूमी-ए-जावेद नहीं
कहते हैं जीते हैं उम्मेद पे लोग
हम को जीने की भी उम्मेद नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Ishq Shayari Shayari