jaada-e-rah khur ko waqt-e-shaam hai taar-e-shua | जादा-ए-रह ख़ुर को वक़्त-ए-शाम है तार-ए-शुआअ'

  - Mirza Ghalib

jaada-e-rah khur ko waqt-e-shaam hai taar-e-shua
charkh vaa karta hai maah-e-nau se aaghosh-e-widaa

sham'a se hai bazm-e-ungusht-e-tahayyur dar dehan
shola-e-aawaaz-e-khooban par ba-hangaam-e-simaa

jun par-e-taous jauhar takhta mashk-e-rang hai
bas-ki hai vo qibla-e-aaina mahv-e-ikhtiraau

ranjish-e-hairat-sarishta seena-saafi peshkash
jauhar-e-aaina hai yaa gard-e-maidaan-e-nazaau

chaar soo-e-dehr mein baazaar-e-ghaflat garm hai
aql ke nuqsaan se uthata hai khayal-e-intifaa

aashna ghalib nahin hain dard-e-dil ke aashna
warna kis ko mere afsaane ki tab-e-istimaa

जादा-ए-रह ख़ुर को वक़्त-ए-शाम है तार-ए-शुआअ'
चर्ख़ वा करता है माह-ए-नौ से आग़ोश-ए-विदा'अ

शम्अ' से है बज़्म-ए-अंगुश्त-ए-तहय्युर दर दहन
शोला-ए-आवाज़-ए-ख़ूबाँ पर ब-हंगाम-ए-सिमाअ'

जूँ पर-ए-ताऊस जौहर तख़्ता मश्क़-ए-रंग है
बस-कि है वो क़िबला-ए-आईना महव-ए-इख़तिराअ'

रंजिश-ए-हैरत-सरिश्ताँ सीना-साफ़ी पेशकश
जौहर-ए-आईना है याँ गर्द-ए-मैदान-ए-नज़ाअ'

चार सू-ए-दहर में बाज़ार-ए-ग़फ़लत गर्म है
अक़्ल के नुक़साँ से उठता है ख़याल-ए-इन्तिफ़ाअ'

आश्ना 'ग़ालिब' नहीं हैं दर्द-ए-दिल के आश्ना
वर्ना किस को मेरे अफ़्साने की ताब-ए-इस्तिमाअ'

  - Mirza Ghalib

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari