jab ba-taqreeb-e-safar yaar ne mahmil baandha | जब ब-तक़रीब-ए-सफ़र यार ने महमिल बाँधा - Mirza Ghalib

jab ba-taqreeb-e-safar yaar ne mahmil baandha
tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil baandha

ahl-e-beenash ne ba-hairat-kada-e-shokhi-e-naaz
jauhar-e-aaina ko tooti-e-bismil baandha

yaas o ummeed ne yak-arbada maidaan maanga
izz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sail baandha

na bandhe tishnagi-e-zauq ke mazmoon ghalib
garche dil khol ke dariya ko bhi saahil baandha

istilaahaat-e-aseeran-e-taghaful mat pooch
jo girah aap na khuli use mushkil baandha

yaar ne tishnagi-e-shauq ke mazmoon chahe
ham ne dil khol ke dariya ko bhi saahil baandha

tapish-aaina parwaaz-e-tamanna laai
naama-e-shauq ba-haal-e-dil-e-bismil baandha

deeda taa-dil hai yak-aaina charaaghaan kis ne
khilwat-e-naaz pe paaraaya-e-mahfil baandha

na-ummeedi ne ba-taqreeb-e-mazaameen-e-khumar
kooch-e-mauj ko khemyaaza-e-saahil baandha

mutrib-e-dil ne mere taar-e-nafs se ghalib
saaz par rishta paye naghma-e-'bedil baandha

जब ब-तक़रीब-ए-सफ़र यार ने महमिल बाँधा
तपिश-ए-शौक़ ने हर ज़र्रे पे इक दिल बाँधा

अहल-ए-बीनश ने ब-हैरत-कदा-ए-शोख़ी-ए-नाज़
जौहर-ए-आइना को तूती-ए-बिस्मिल बाँधा

यास ओ उम्मीद ने यक-अरबदा मैदाँ माँगा
इज्ज़-ए-हिम्मत ने तिलिस्म-ए-दिल-ए-साइल बाँधा

न बंधे तिश्नगी-ए-ज़ौक़ के मज़मूँ 'ग़ालिब'
गरचे दिल खोल के दरिया को भी साहिल बाँधा

इस्तिलाहात-ए-असीरान-ए-तग़ाफ़ुल मत पूछ
जो गिरह आप न खोली उसे मुश्किल बाँधा

यार ने तिश्नगी-ए-शौक़ के मज़मूँ चाहे
हम ने दिल खोल के दरिया को भी साहिल बाँधा

तपिश-आईना परवाज़-ए-तमन्ना लाई
नामा-ए-शौक़ ब-हाल-ए-दिल-ए-बिस्मिल बाँधा

दीदा ता-दिल है यक-आईना चराग़ाँ किस ने
ख़ल्वत-ए-नाज़ पे पैराया-ए-महफ़िल बाँधा

ना-उमीदी ने ब-तक़रीब-ए-मज़ामीन-ए-ख़ुमार
कूच-ए-मौज को ख़म्याज़ा-ए-साहिल बाँधा

मुतरिब-ए-दिल ने मिरे तार-ए-नफ़स से 'ग़ालिब'
साज़ पर रिश्ता पए नग़्मा-ए-'बेदिल' बाँधा

- Mirza Ghalib
0 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari