rone se aur ishq mein bebaak ho gaye
dhoye gaye ham itne ki bas paak ho gaye
sarf-e-baha-e-may hue aalaat-e-may-kashi
the ye hi do hisaab so yun paak ho gaye
ruswa-e-dehr go hue aawaargi se tum
baare tabi'aton ke to chaalaak ho gaye
kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be-asar
parde mein gul ke laakh jigar chaak ho gaye
pooche hai kya vujood o adam ahl-e-shauq ka
aap apni aag ke khas-o-khaashaak ho gaye
karne gaye the us se taghaaful ka ham gila
ki ek hi nigaah ki bas khaak ho gaye
is rang se uthaai kal us ne asad ki na'sh
dushman bhi jis ko dekh ke ghumnak ho gaye
रोने से और इश्क़ में बेबाक हो गए
धोए गए हम इतने कि बस पाक हो गए
सर्फ़-ए-बहा-ए-मय हुए आलात-ए-मय-कशी
थे ये ही दो हिसाब सो यूँ पाक हो गए
रुस्वा-ए-दहर गो हुए आवारगी से तुम
बारे तबीअतों के तो चालाक हो गए
कहता है कौन नाला-ए-बुलबुल को बे-असर
पर्दे में गुल के लाख जिगर चाक हो गए
पूछे है क्या वजूद ओ अदम अहल-ए-शौक़ का
आप अपनी आग के ख़स-ओ-ख़ाशाक हो गए
करने गए थे उस से तग़ाफ़ुल का हम गिला
की एक ही निगाह कि बस ख़ाक हो गए
इस रंग से उठाई कल उस ने 'असद' की ना'श
दुश्मन भी जिस को देख के ग़मनाक हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Revenge Shayari Shayari