tapish se meri waqf-e-kashmakash har taar-e-bistar hai | तपिश से मेरी वक़्फ़-ए-कशमकश हर तार-ए-बिस्तर है

  - Mirza Ghalib

tapish se meri waqf-e-kashmakash har taar-e-bistar hai
mera sar ranj-e-baaleen hai mera tan baar-e-bistar hai

sarishk-e-sar b-sehra daada noor-ul-ain-e-daaman hai
dil-e-be-dast-o-pa uftada bar-khurdaar-e-bistar hai

khusa iqaal-e-ranjoori ayaadat ko tum aaye ho
farog-e-sham-e-baaleen farog-e-shaam-e-baaleen hai

b-toofan-gaah-e-josh-e-iztiraab-e-shaam-e-tanhaai
shua-e-aftaab-e-subh-e-mahshar taar-e-bistar hai

abhi aati hai boo baalish se us ki zulf-e-mushkeen ki
hamaari deed ko khwaab-e-zulekha aar-e-bistar hai

kahoon kya dil ki kya haalat hai hijr-e-yaar mein ghalib
ki betaabi se har-yak taar-e-bistar khaar-e-bistar hai

तपिश से मेरी वक़्फ़-ए-कशमकश हर तार-ए-बिस्तर है
मिरा सर रंज-ए-बालीं है मिरा तन बार-ए-बिस्तर है

सरिश्क-ए-सर ब-सहरा दादा नूर-उल-ऐन-ए-दामन है
दिल-ए-बे-दस्त-ओ-पा उफ़्तादा बर-ख़ुरदार-ए-बिस्तर है

ख़ुशा इक़बाल-ए-रंजूरी अयादत को तुम आए हो
फ़रोग-ए-शम-ए-बालीं फ़रोग-ए-शाम-ए-बालीँ है

ब-तूफ़ाँ-गाह-ए-जोश-ए-इज़्तिराब-ए-शाम-ए-तन्हाई
शुआ-ए-आफ़्ताब-ए-सुब्ह-ए-महशर तार-ए-बिस्तर है

अभी आती है बू बालिश से उस की ज़ुल्फ़-ए-मुश्कीं की
हमारी दीद को ख़्वाब-ए-ज़ुलेख़ा आर-ए-बिस्तर है

कहूँ क्या दिल की क्या हालत है हिज्र-ए-यार में ग़ालिब
कि बेताबी से हर-यक तार-ए-बिस्तर ख़ार-ए-बिस्तर है

  - Mirza Ghalib

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari