apni ana mein choor hoon
khud ke liye naasoor hoon
karta hoon jo dil kehta hai
haan sach hai main maghroor hoon
jisko hai jaana jaaye vo
mujhko main to manzoor hoon
maana hai vo manzil meri
usse magar main door hoon
aankhen bhari hain khwaabon se
lekin main ab be-noor hoon
अपनी अना में चूर हूँ
ख़ुद के लिए नासूर हूँ
करता हूँ जो दिल कहता है
हाँ सच है मैं मग़रूर हूँ
जिसको है जाना जाए वो
मुझको मैं तो मंज़ूर हूँ
माना है वो मंज़िल मेरी
उससे मगर मैं दूर हूँ
आँखें भरी हैं ख़्वाबों से
लेकिन मैं अब बे-नूर हूँ
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari